Background:
Article 25 constitution of india secularism k baare me batata hai ki har Indian ko freedom hai ki wo apna religion choose kare, follow kare. 42nd Amendment se India ke Preamble me changes aaye the description “sovereign democratic republic” to “sovereign socialist secular democratic republic” kiya gaya. 42nd amendment act ko mini constitution bhi kaha jaata hai.
Mera ye manna hai ki hame har religion ki respect krni chahiye. har kisi ko ek samaan dekhna chahiye. Na kuch aisa karna chahiye jisse kisi religion ke logon ko thes pahuche. ye secularism bhi kehta h.
Lekin aajkal aisa kyon nhi hota? India secular nation hai aur secularism ko follow bhi krta hai to har doosre din religious conflict kyon hote hai? Jaise ki aaj kuch dino me dekhne ko mil raha hai hijab ek kaafi bada mudda ban gaya hai india me. iss poore waqiye se hame ek taraf hindu ek taraf muslim k jhagde dekhne mil rahe h. to secularism kaha gaya iss desh ka?
Kaafi politicians ki kisi ek religion ko lekar bhashan ya doosre religion ko bhadkane ka kaam kar rahe hai. Ye ek badi wajah hai india me peace aur secularism ko khatam krne ki.
Constitution banane me saare religion k logo ne saath milkr apni soch rakha tab jaakr constitution bana. to hame use follow karna chahiye.
Police station, job places, hospitals, schools wagaira me hame kisi ek religion ki practice nhi krni chahiye jisse kisi doosre religion k log sawaal uthaae ya unhe thes pohche.
To mai bas yahi kahungi ki kuch political fayde k liye apne hi desh k logo ko use karna band kiya jaaye. logo ko apne rights aur constitution ke haq aur adhikaar mile. aur hamare desh me peace aur secularism bana rahe taake doosre desh hamse inspire ho.
Hume iss cheez pr dhyaan dena chahiye ki dharm k naam pr koi hume use na kare, unke fayde ke liye.
Author:
Name: Shaikh Muskan Bi Abdul Aziz
Age: 17