Ghar ke baad agar bacche kahin sabse zyada waqt guzaarte hai toh woh hai school. Lekin jab school ka naam lete hai to dimaag mein aata hai, classroom, teachers, kitaabein, aur exams. Kisi ke bhi khayaal mein khel nahi aata hai. Jab hum baccho ke bhavishya ki baat karte hai toh padhai hi zaruri hoti hai, khel nahi. Par kya yeh sahi hai? Kya hamein bachchon ki zindagi se jude har pehlu ke baare mein nahin sochna chaahiye? Ek tandurust zehen ke liye, poori tareeqe se tandurust hona bahut zaroori hai. Khel se unki soch khulti hai aur who padhai par bohot acche se dhyaan dete hai. Issi tarah unke academic performance bhi badh jaate hai aur baccho ko bohot active paaya jaata hai.
Parents ki rai
Padhai ke sath khel kitna zaruri hai, aayiye samajhte hain Shama se. Woh ghar se ek chhota sa business chalaati hainn. Unke do bachhe hain, jo private school me jaate hai. Unka maan-na hai ki, “75% agar baccha study karta hai toh 25% khel bhi zaruri hota hai. Khel se unka mind fresh hota hai aur padhai acchi hoti hai.”
Lekin donon school jahaan unke bachche padhte hain wahaan khel-kood ke liye koi intezaam nahin hai. Pehle mein ground ganda rehta hain ya gadiyaan parked rehti hain. Aur doosre mein to koi khuli jagah hai hi nahin. Aise mein bachche sirf classroom mein hi poora waqt ghuzaar dete hain.
Sabhi ke liye ek achhi school ka matlab bohot hi alag-alag hai. Jaise Shama ke liye khel zaroori hai, waise hi auron ke liye ya to school ka nazdeek hona zaroori hain ya wahaan par Islamic studies hona zaroori hai.
Education ya Business? (Shiksha ya uska vyapaar)
Noorie jinke teen bachche ek Islamic school mein jaate hain, ka kehan hai ki, “school mein ground toh bohot bada hai lekin khelne nahi dete hai unko zyada. Alag alag games ki fees hai, football ki 700 hai. Agar baccho ko khelna hai toh unhe fees deni hoti hai.”
Khel sabhi baccho ke liye zaruri hai par agar iss tarah school mein khelne ki alag se fees ho toh har baccha nahi khel sakega. Kahi na kahi schools ne khel ko bhi ek business bana diya hai.
Right to Education (RTE) ke norms and standards ke hisaab se har ek school ka khud ka ground hona chahiye ya toh aas paas khelne ka intezaam hona chahiye. Par jaise ki aap sab log jante hai ki Mumbra mein kaafi schools ke paas khud ka ground nahi hai. OR Jin schools ke paas ground hai woh bhi uska istemaal nahi karte ya toh sports ke saath saath shaadiyon ke liye bhi istemaal kiya jaata hai.
Bachchon ka Nazariya
Shaan jo ki 3rd std mein padta hai us ne kaha ki “Hamari school mein PT karate hai aur games bhi khilaate hai. Khelne ki jagah itni badi hai ki 3 buses aasani se khade reh sakti hai, Jab sports hota hai toh buses bahar chali jaati. Sports mein hame racing karaya jaata hai aur basketball khilaate hai.
Alina, jo ki ek International Islamic school mein 6th std mein padti hai usne kaha ki “Mujhe meri school bohot pasand hai aur who activities aur padhai mein achhi bhi hai. Mere school mein 2 ground hai, dono mein kam se kam 25 bacche khel sakte hai. School mein ground nahi hoga toh hum class mein sirf padte rahenge agar games khelenge toh refresh ho jayenge aur accha bhi lagta hai”. Bachho ko khelna behadh pasand hai, Par school mein iss baat par dhyan nahi dene ki wajah se unhe sports ka matlab hi nahi pata hai. Shaan se basketball ke baare mein pucha gaya toh usne bataya ‘basket mein ball rakh kar bhaagna’ wahi agar alina se puche toh uski school mein ground bhi hai aur bacche khelte bhi hai.
What is the solution?
School aur padhai ka masla bada hai aur bahot saari samasyaen hai. School mein ground na hona bhi ek badi samasya hai. School ka agar khud ka ground nahi hai to kya parents and teachers PTA meeting mein discuss karke agar kisi school ke aas paas ke public ground ka istemaal kare school ke hi hours mein toh hamare baccho ke liye bohot hi accha hoga.
RTE ke anusaar – https://www.oxfamindia.org/blog/10-things-rte
It’s a very good efforts
LikeLike
Thank you Yasmeen Khan 🙂
LikeLike
bahut khoobsurat lagi yeh likhayi … jin tajurbon k baare mein likha ja raha hai, jis tarah se likha ja raha hai … thank you for starting this …
LikeLiked by 1 person
Thank you Asha Achuthan 🙂
LikeLike