Film Review: Article 15

Ham sab jante hai ke filmmein hamari zindagi par bohot asar andaz hoti hai,Phir wo filmmein achi ho ya buri. hamare samaj par uska asar kaafi gehra hota hai or khas kar desh ke yuvao par.

Haal hi mein banai gyi film “Article 15” Anubhav sinha ki direct or produce ki huyi caste or crime par bani film hai. Gaurav Solanki ki likhi ye kahani aapko sochne par majboor kar degi ke hamare samaj mein jab barabari or huqooq ki baat hoti hai to wo huqooq har caste ke liye alag alag hote hai.

Ayan Ranjan (Ayushmann Khurana) is film mein ek IPS officer ka kirdar nibhate hue nazar aaye hai.

Unke sathi police karmchari Bhramdatt (Manoj Pahwa) ek upper caste police officer hai jo case ke mutabik Ayan Ranjan ko gumraah karte nazar aaye hai wahi Bhramdutt ke haath ke niche kaam kare wale Jatav (Kumud Mishra) ek chhoti zaat ke karmchari hai or wo Ayan ka sath dete nazar aaye hai. Nishad (Mohammad Zeeshan Ayyub) ko bohot hi chhota lekin powerful kirdaar diya gaya hai. Unka bola hua dialogue “Ham kabhi harijan ban jaate hai, kabhi bahujan ban jaate hai, bas jan nahi ban paa rahe ke jan gan mein hamari bhi ginti hojaye” logo ko bohot pasad aaya. Wahi Bhramdutt ka bola hua dialogue “Aap logo ka transfer hojata hai, hamein maar diya jaata hai” baar baar Ayan ko case rokne par uksaata hai.

Is film mein gaon ke pecheeda maslon ko bohot hi khoobsoorti se pesh kiya gaya hai. Jaha upper castee logo ke liye badi se badi raqm koi maeene nahi rakhti wahi lower caste logo ke liye 3 rupay ke liye kai zindagi barbaad hote hue bataya gaya hai. Gaon mein caste ko lekar jaha itne jurm badhte jaate hai wahi neta ki laparwahi par bhi roshni daali gayi hai.

Kya zaat paat or oonch neech ko lekar sirf chhote chhote gaon mein masle hote hai? Bade shehron mein rehne wale khul kar nahi kahte lekin bachon ka school mein dakhla hote hi unki zindagi se caste ka fark jod diya jaata hai. Phir zindagi ke har mod par hamein caste se jude reh kar har kaam karna padta hai. Bohot si jagah par ye bhi dekha gaya hai ke buildings mein rehaish bhi caste ko dekh kar diya jaata hai.

Hamein aisi filmmon ki bohot zaroorat hai jo samaj mein hone wali nainsafi or zulm Ko logon ke samne laye lekin usse bhi zyada zaroori ye hai ke jaat, dharm, zubaan, reeti rivaj ke bich hamein jo fark nazar aata hai use mitane ke liye ham khud pahal karein.

Advertisement

3 thoughts on “Film Review: Article 15

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s