Background:
Aajkal hijab ek bohot bada mudda ban gaya hai. India me har doosre news channel, har social media pages par hijab par controversy debates dekhne ko mil rahi hai. Karnataka ke Udupi district ke government College me hijab ko lekar protest ho rahe hai.
College me uniform decide hone se pehle tak kuch ladkiya hijab pehenkar classroom me baithti thi. dresscode decide hote hi jab ladkiya college gayi to unhe mana kr diya gya classroom me baithne se. college ka ye manna hai ki hijab pehen kar baithna college ke dress code ka violation hai. agar aiss hi tha to pehle se hijab ya koi bhi religious cheeze mana honi chahiye thi. ya phir jo ladkiya uncomfortable hai without hijab baithne me unhe permission deni chahiye thi college ko hijab pehenkr baithne ki. na ki unhe classroom me baithne se mana krna chahiye tha. aur ye sawaal hai ki ham schools aur colleges education lene padhaai krne jaate hai to aapko ek ladki kya pehen rahi hai uske attire se kya problem? Wo aapke college ka uniform to pehen hi rahi na?
jo ladkiya achanak se aayi hai hijab pehenkar as a muslim apna haq maangne to ye galat hai mere hisaab se.
Iss poore controversy me ek clip dekhne ko mili ki ek ladki college me enter ho rahi hai burkha pehni huii aur kaafi saare ladke bhagwa flag aur kapde liye hue jai shree ram k naare lagate hue uspar haavi ho rahe h. to isse ye sawaal aata hai kaha gya iss desh ka secularism? Agar rights aur choice ke naam par ye ek political game khela jaa rha hai to un political leaders ko apne desh ke logo ko use krna band krna chahiye.
Karnataka high court se ye order aaya hai ki jab tak ye matter pending hai students ko allowed nhi kiya jaaega koi bhi religious cheeze pehenkr aane. mera bhi ye kehna hai ki schools colleges universities me koi bhi religious cheeze (sirf hijab nahi par jo bhi religion ko dikhata hai) pehenkr jaana allowed nahi hona chahiye. isse koi kisi religion par sawaal nhi uthaaega na hi religious conflict honge.
KYON aajkal ki politics non issue ko issue bana deti h?
To bas mai yahi kehna chahungi ki har kisi ka apna right hai use kya pehenna hai, kya krna hai, kaise krna hai agar usse kisi ko takleef nahi hai. koi kisi par rok tok nhi laga skta. Indian constitution bhi yahi kehta hai.
hamari sarkar ko political games khel kar logo ko aur unke dharm ko thes na pohchate hue desh ka development, uski economy aur bhi cheezo par dhyaan dena chahiye.
Author:
Name: Shaikh Muskan Bi Abdul Aziz
Age: 17