Football aur meri kahani…

sports ko leke jaise hi ladkiyo ki baat aati hai to  koi sochta hi nahi, ki ladkiyo ko bhi sports khelna chahiye. Sports hamare zindagi ke liye kitna important hai, ladkiyo ke liye ek age limit hoti hai.jab woh choti hai to tab khel sakti hai or jab badi ho jaati hai to unko khel se dur rakha jaata hai. ager woh chahe  khelna to bhi  woh nahi khel sakti. yeh society ladki ka khelna acha nahi sochti. aise buhat saari ladkiyo mein se mein bhi ek hoon. jise khel se dur rekha gaya tha.

sub se maine yahi suna ki ab mai badi ho gai hu bacccho ke jaise kaise khel sakti hoon,? kyu ki mai ek ladki hoon. lekin ager ek ladka khel sakta hai to ek ladki dono ki same age hai toh kyun nahi khel sakti? ek ladki ke liye itne restriction kyu?

ek ladki ke liye rok tok kyun? khel ka koi gender nahi hota har human being ke liye khelna jaroori hai woh unki zindagi ka hissa hai woh girl ho ya boy unhein khelne ka pura haq hai.  Mujhe yaad hai last time maine school ke dino me kheli thi uske baad kabhi nahi kheli. 

Mein 21 years ki hoon. Jab 16 saal ki thi to mein mumbra aayi. mumbra mein ek NGO se mili, jo ladkiyo ko football khilata tha. Jaan kar bahut khushi huyi.Aaisi bhi koi jagah hai jo inn baato par bhi dhyaan deti hai. yeh NGO ke baaare me mujhe meri friend simran se pata chala tha jo meri building mein rehti thi, tabhi mujhe yakeen nahi ho raha tha ki mein bhi khel sakti hu to maine ghar ke baare me socha ki mujhe mere ghar mein to kabhi allow nahi karegay ki mein khelu. mai apni ammi ko jhoot bola kii mein sirf english class ja rahi hoon (NGO ne ladkiyo ke liye free english classes bhi shuru ki thi) lekin mein football bhi kheelti waha par.

zindagi mein mein ne pehli baar football khela. khel kar bahut acha laga lekin jaha hum khelte the woh ek public ground tha jaha sirf ladke khelte the, our unko lagta tha ki woh jaghe unke liye hi banayi gayi hai. jab humne unko waha se hatne ke liye kaha to unko laga ye kya ho reha? fir kafi bolne ke baad woh 2 ghante ke liye ground hume diya to har sunday 2 ghante hum practice karte the. starting me uncomfortable lagta tha itne log dakhne lagte lekin jab khelna start krte to koi farak nahi padta tha. 

woh ek proper football ka ground nahi tha to girte waqt kaafi chot lagti thi lekin woh ground ke siwa koi ground bhi nahi tha. wahi ground par practice kar ke humne tournament bhi jeete. mein acha khelne bhi lagi thi sub theek chal reha tha fir meri ammi ko pata chala ki mein football khelti hu. fir kaafi manane ke baad unhone haa bola lekin jab unhone ground dekha, unhone mana kardiya football khelne se kaha “jaha itne ladke hote hai waha public ground mein tum kaise kheel sakti ho ?Fir kiya tha mera football khelna band ho gaya. uske baad 2 saal tak maine football nahi kheli our mai football nahi khel rahi thi ye soch kar mujhe bahut bura lagta. ek achi player hone ke bawjood. bus mai isliye nahi khel sakti kyun ki mai ek ladki hu. aaise hi 2 saal guzar gaye our fir mai do saal baad fir meri footballmate se mili jo abhi ladkiyo ko football khilati thi our woh ladkiyo ko jo kabhi football nahi kheli ho. Ye jaan kar bahut acha laga ki mujh jaisi ladkiya ko khelati hai. mai ne bhi soch liya ki meri jaisi har ladki ko khelne ka mauka milna chahiye. ye soch kr fir se maine join kiya bina apni ammi ko bataye. fir se maine khelna start kiya our mai ne MDFA ke liye khelne ke liye practice start ki. Mein Global Goals World Cup ki match me kheli Or grassroots coaching ka licence bhi liya. Ab mai 150 ladkiyo ko football ki training deti hoon. bahut acha lagta hai unhe khelte dekh. jinhe kabhi opportunity nahi mili khelne ki aaj woh maidaan mein khul kar masti se kheel rahi hai. lekin ab tak yeh sab baat meri ammi ko nahi pata hai. ye sub mujhe chupana padta hai kyu ki mai ek ladki hu. aap ko kya lagta hai ladkiyo ko khelna chaiye yah nahi?

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s