Muslim Aurton Ki Kamaayi Haraam Hai!

Muslim aurton ki kamaayi haraam hai

Aisa dekha gaya hai ki har ek musalman ke thoughts alag alag hai. Religion ka interpretation alag alag hai. Sabhi ki apni apni raay hai aurton ki kamaayi ko lekar. Koi kehta hai haraam hai, to koi kehta hai ke Shauhar se puch kar sharia mein rehkar kare toh halaal hai, koi kehta hai ki aurton ki kamaayi ko family ne accept hi nahi karna chahiye. Koi kehta hai ki aurton ki zimmedaari sirf ghar ki (Bacche and family) ki khidmat karne mein hi hoti hai.[1]

Aaj bhi log challenge karrahe hai ek dusre ki hadees par. Kaun sahi hai? Kiski hadees sahi hai? Kab kaun kiski baatein sunega aur aurton ko pressurize karega? Mazhab kab-kab? Aur har baar kyu nahi? Aur khud ke liye kyu nahi? Sirf aurton ke liye hi kyu? Koi clarity nahi hai iss baat ki.

Aurton ko bass homemaker ki tarah hi dekha jaata hai, Shaadi ke pehle ho ya shaadi ke baad. Yeh unka primary kaam hi hota hai. Khaana paka kar khilaane se lekar, ghar ki safai, baccho ka khayaal, Aur mard ki khidmat karna fir woh father ho ya husband. Agar bahar jayegi toh yeh sab kaun karega?

Mazhab ka istemaal toh kuch mardon ne iss tarah kiya hai ki jissme saara paise ka maamlaat mein ye deal karenge fir woh kaisi bhi dealing kyu na ho. Sharai ke khilaaf ho bhi agar toh inse kaun sawaal-jawaab karne waala hai? koi nahi! Paiso ke maamle me, aurtein unhe aas paas bhi nahi dikhni chahiye. Kyuki paise mein hi toh poora power hai. Power aur aurat yeh dono hi shabd jab ek hojaaye toh logo ko darr lagta hai. Yeh ek Na ho ho issiliye aata hai ‘Mazhab’. Hamesha power mein rehne ke liye hi mazhab ka istemaal kiya jaata hai. 

Niche diye gaye data[2] mein dekhiye musalmaan aurton ka participation. Jo ke pehle se badh raha hai. But aaj bhi hum har alternate ghar mein yeh hi sunte hai ki aurton ki kamaayi haraam hai. 

Aurtein do kadam piche honi chahiye mardo se.

Pehle ke zamaane se logo ki yeh soch hoti aayi hai ki, aurton ne mardo se do kadam piche hi hona chahiye. Ab iskko logo ne itna seriously liya hai ki mard khud apni capacity build karke aage jaane ka nahi sochte hai, bal-ki aisa kuch ho ki aurat ko kaise piche laaya jaaye, control kiya jaaye. Issi wajah se aurton ko zyada padhate nahi hai, kamaane nahi dete. Hoshiyaar hogayi, aage badh gayi toh mard se do kadam piche kaise rahegi? Yeh toh wohi baat ho gayi. Exam mein topper ban-na hai, lekin padhayi nahi karni, kisi topper ko khudke level se niche laane ki tarkeeb ki jaaye so that khud topper bann sake. 

Dependent hi ho na chahiye, Independent nahi.

Bachpan se beti ke dimaag mein set kar diya jaata hai ki shaadi se pehle father, shaadi ke baad husband, husband ke baad beta, inn par hi dependent rehna chahiye. Khud ka kuch nahi hona chahiye.

Equality toh islam ka basic principle hai. Kyu kisi ko control mein rakhne ki hum sochte hai. Beti ko padhaate bhi ho toh yeh bolkar ke jab uska talaq ho jayega tab padhai uski kaam aayegi. So that bojh na bane baad mein. Toh pehle se maahol aisa hona chahiye ke koi kisi par bojh na bane. Hamesha independent rahe. Beti ko padha bhi dete hai toh kamaa-na nahi chahiye kyu ki kamaayi toh haraam hai uski.

Aakhir kab tak yeh picchhdi soch ke saath aap chalne waale ho? Kab aap khud hokar do kadam aage badhoge? Ya sirf hamesha aurton ko piche hi khichoge?


[1] https://qarawiyyinproject.co/2020/11/13/gender-series-i-just-dont-think-muslim-women-should-be-working/ 

https://timesofindia.indiatimes.com/india/deoband-fatwa-its-illegal-for-women-to-work-support-family/articleshow/5919153.cms

[2] http://ncwapps.nic.in/pdfReports/vov-part-2.pdf 


Introduction:
Mein Salma Ansari, parcham tanzeem se shuru se judi hoon. Parcham ki har sargarmi mein shamil rahi hoon. Mein BMS Graduate hoon. Urooj ne mujhe mauka diya hai ke mein apne khayalat ko tahreeri roop mein zahir kar sakoon.

3 thoughts on “Muslim Aurton Ki Kamaayi Haraam Hai!

Leave a comment