Pyaar – Ek Azaad Parinda

Na koi roke
Na koi toke
Aisa  sansaar chahti hu
Azaad parinda hai yeh dil
Azaad udhna chahti hu

Kabhi giri bijli mujpe
To kabhi  raaste roka tufaan ne
Tez hawa ne bhi rah bhatkana  chaha
Par Azaad hai yeh dil
Neele asaman me udhna chahta hai

Basana tha jis shaak pe ghosla
Andhi  bhi wahi  girai  thi
Hosle se  tinka tinka jodh
Fir umeed banana chahti hu
Kyuke Azaad  parinda hai yeh dil  
Azaad Udhna chahti hu

Chahti hu mai na koi  badhe  is samaj  ke jhoot me
Pyar ko samajte hue pyar  ki bunyaad par yeh samaj  chahti hu
Kyuke Azaad parinda hai yeh dil
Azaad udhna chahti hu

Kamzor  samajna chodh do mujhko
Takat-e-khuda na samjho khudko
Firon bhi na jeet saka insaan se
Na bhoolo  tum tareek  ko
Kyuke Dil hai Azaad parinda
Azaad Udhna chahta

Mitana  chahti hu har nabarabri  ko
Le aajaogi  dusre parindo  ko sath
Akhir  badlao  ham hi se to aayga
Hai Yeh dil Azaad parinda  
Azaad udhna chahti hu

~ Madinabi Mohd Makbool

2 thoughts on “Pyaar – Ek Azaad Parinda

Leave a comment