LOCKDOWN

LOCKDOWN Ye word na hamne isse pehle kabhi suna tha aur na is k baad kabhi sunne ki khwahish rakhte hain.
Har saal ki tarah is saal ki shuruwat bhi bohot dhoom dham se hui logo ne 31 eve celebrate kiya naye saal k sath naye naye aims and short goals banaye lekin kisi ko nhi pata tha ye ek aisa saal hoga jo hum hi nahi hamare aane wali pidhi bhi yaad rkhegi.
Shyd hi isse pehle kabhi duniya is tarah thami hogi, hum Bachpan mein statue ka khel khala karte the jisme hum Jahan hote the wahin bina ki harkat ke statue ho jate the bas wohi khel ye saal hamare sath khel raha hai.
Bachpan se har student ka sapna hota hai k use school se Chutti mile. Har subah bache yehi sochte hue uthte hain ke kash aj Sunday hota, school ki chutti hoti but aaj haal ye hai ke school mahino se band hai bache school Jane aur apne dosto se milne k liye bechain hain.
Government ne Corona jaisi khatarnak bimari se bachne aur use phailne se rokne k liye lockdown to laga diya lekin lockdown bolna jitna asan aur saral hai us ka palan Krna utna hi mushkil hai. Hamara desh ek taraqqi pazir desh hai jo abhi bhi struggle kar raha hai aur majority middle class or lower class ki hai. Kch log aise hain jo daily basis pe apna ghar chalate hain, jisme pheri wale, auto rickshaw driver, Ola and other cab driver, different vendors wagaira hai.
Mumbra ek chota sa shaher hai jo k thane municipal corporation k under aata hai, jiski majority population muslim hai. Aur zyada log middle or lower class k paaye jate hain. Mumbra me hazaro ki tadad mein auto rickshaw chalti hain aur aise hi tadad me log gulab park Market or degar jaghon pe stall laga kar apna ghar chalate hain. Yeh wo slog hain jo is lockdown se sb se zyada mutassir hue hain.
Lockdown jis tarike se Achanak lagaya gya nah kisi ko kuch sochne ka waqat mila na kuch mansuba bandi ka mauka mila. Shuru k kch din to jaise taise kat gaye lekin lockdown jaise jaise badhta gaya logo ki zindgi dushwar Tarin ho gai. Logo ka jama kiya hua ration or paise khatam hone lage. Aur wo garib jo daily basis pe apna ghar chalata tha usne kabhi nahi socha hoga ke use aisa din bhi dekhna padega jab wo mahino ghar se bahar nahi nikal sakega. agar thoda bhi andaza hota to wo us hisab se kuch bachat karta taake is mushkil tareen waqt me apna aur apne ghar walo ka khayal rakh sake.

Lockdown apne urooj pe tha extend pe extend hote ja rha tha aur mazdoor or garib log apni Zindgi ki aazmaish ke liye lad rhe the.
Is mushkil waqt me government ne sath to Diya lekin itni badi aabadi me ghar ghar ration or khana pohnchana asan baat nhi aur kch khuddar aise hote hain jo kisi k aage hath nhi phailate na hi kisi se mangne jaate hain bs apne khuda ki madad k bharose baithe the. Government k sath sath mukhtalif NGOs ne jisme SIO, Parcham or jamate islami Hind wagaira sabhi logo ne jis se jis tarah ho ska madad kiya. Magar kisi ka ghar chalana wo bhi mahino tak ye mamooli baat nahi aur roz k faaqon se tang aa k logo ne apne gaon jana behtar samjha Jahan kam se kam unke paas sir chupane k liye apni chat to thi. Ghr ka rent dena aur degar ikhrajat uthana un ke bs me nhi tha, Train bnd hone ki wjah se bht hi mushkilo se Kuch Log private gaadiyan kar ke kuch truck k zariye aur jaise bhi ho sake sab apne tarike se apne gaon ki taraf chale gye.
Lockdown se bacho par bhi bohot gahra asar hua hai. Bache pahle outdoor games ke shaukeen the lekin ghar mein itna waqt guzaarne par bore hoke mobile ka istemaal zyada karne lage or ab unhe mobile ki aadat si hogai hai.
Lockdown se individually kaafi logo ko nuksaan hua lekin desh ki economy par hi bohot zyada fark padha hai or ab desh ko dobara develop hone mein kaafi waqt lagega.
Bimariyan bata kar nahi aati isliye corona jaisi bimari future mein bhi aasakti hai isliye desh ko pahle se iska intezam karke rakhna chahye taake jitni pareshani ka samna awaam ko corona se ladne mein hua future mein itna mushkil na ho.

Introduction:

Mera naam Aquib Sayyed hain- mai ek civil engineer hu aur Master degree kar raha hoon. Urdu bhaasha bachpan se mere liye kuch khaas thi – 2012 se maine urdu (Sulekh) likhna shuru kiya. Main excited ho gaya aur maine likhna shuru kar diya- Is kavita ke madhyam se logon ko ye sandesh dena hai ki wo acche ke liye milkar kaam kar sakte hai-
choti si zindagi hai shikayat kya kisi se
chand roz bache hai haste muskurate mil lo sabhi se.

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s