Justice ka mtlb hota hai nyay ya barabar haq. To ky yeh srf kuch gine chune logo ke liye hai ? Nhi.
Agar aap is desh ke nagrik hai to aapke liye savidhaan me justice likha gaya hau fir chahe aapki koi bhi jaat paat dharm hone do par aapko justice milega. Nyay sbko mile iske liye liye ek system rakhi hai jisme police, courts yeh sb aate hai. Magar aaj kl hamare desh ka judiciary kamzor hoti nazar aa rhi hai.
Aisi kahawat hai ki dushman ko bhi court ya police station ki dehleej paar na karna pade. Aisa kyon?
Aise maana jaata hai ki ek baar kisi ki case court me chali gayi to wo saalon chalti rehti hai aur insaan ke maut ke baad faisla aata hai. Kya ye sahi soch hai? National Judiciary Data Grid ke hisaab se har 4 trials me se 1 case 5 ya 5 se zyda saalo ke liye pending me reh jata hai
Pendency of cases in court – Is graph ke hisaab se 2016 record se hamare desh me 87.4 per court ke pendency rate hai. Iski wajah hai,

- Less number of judges: Jaise hamare desh me pendency rate badhte jaarhe hai usi ke sath sath judges ki vacancy rate bhi badh rhe hai.
- Police may often send cases for trial without adequate investigation: Jb koi case ko sahi tareeke se investigate nhi kra jata to wo case direct court me jata hai jisse pending cases aur bhi badh jatr hai
Isi ke karan hamara court har saal har 10 case me se bas 1 case hi solve kar paata. (Source of information)
hamare desh me jitne jail hai wo aisai hi bhare padhe hai par upradhiyo ki tadaat badhne ki wajah se aur bhi halat kharaab hoti jaari hai. Undertrials ki sankhya badhte jaa rhe hai .2019 ke akhir me 3.28 lakh aaropi undertrials the Kyuke phele ke pending case hi solve nhi hue
Yehi sb karano ki wajah se hamare desh ke kitne logo ko unka haq unke marne ke baad milta hai .
Judiciary hamare desh ka ek pillar hai. Usse citizen ko nyay ki apeksha hai. Use mazboot karna hoga. Hum ne dekha ki Arnab Goswami ke case ki sunvai jaldi ho gayi. Prashant Bhushan ke bhi case me 1 rupaiy ka jurmana laga. Ye isliye hua kyonki judiciary par ya sarkaar ya logon ka zor tha. Hame agar judiciary ko mazbut karna hai to hame court pe dabaw dalna hoga ham sbko sath me aana hoga. Hume sarkaar par dabaav daalna hoga ki budget me intezaam Karen taaki judge ko niyukt kar ke vacancy khatm Karen. Police ko training den taaki wo investigation theek se Karen. Saath me budget de kar jailon ki halaat bhi sudharne honge.
Hame sbko sath aake apni nyay vyavashta pe fir se bharosa karne ke liye koshish karna hoga.
JAI HIND

Introduction
Myself Madinah bi Mohd Makbool .I am studying and simultaneously pursuing to be a football player. Since 2015 Writing and reading started fascinating me and so I try to involve myself in it.
Good work madii 👍👍keep it up
LikeLike