Andekhi ek mazboot si, deewar banaye bethe hai,
Apni zimmedariyon se, nazrein churaye bethe hai,
Kashtiyan doob rahi hai desh ki, duniya ke Samandar mein
Ham ek dusre par ilzaam lagaye bethe hai,
Jab zimmedariyon ki baat ho to zyadatar hamare zahen mein gharelu zimmedariyan hi aati hai lekin kya hamari zimmedari hamare gharon tak hi mehdood hai!
Hamare samaaj, mazhabi riwayatein, hamari sarkar jinse hamein beshumaar shikayatein hai lekin kya kabhi hamne khud apni mushkilon ko samajhne ya unhe hal karne ki koshish ki hai?
samaaj mein ya hamere aas paas kisi par zulm horaha ho, ham sarkaar par ungli uthate hai halanke us waqt hamein khud aage badh kar zulm ke khilaaf aawaz uthani chahye lekin hamein koi nuksaan pohochne ke dar se ham khamosh rehte hai. Darasal hamne apni hifazat ke liye ek hifazati maqaam bana liya hai jisme beth kar ham sarkaar ko bura bhala kehte hai or maujooda haalat par afsos ka izhaar karte hai.
Hamare desh, samaj or hamare aas paas ke ilaakon ko lekar bhi hamari kai zimmedariyan hai jinse ham nazrein churate aaye hai lekin
hamein ye nahi bhulna chahye ke sarkar awaam ke liye hai lekin apni mushkilon ke liye pahla qadam hamein khud uthana padega. Agar awaam apne liye aawaz nahi uthayengi to sarkar bhi awaam ke liye kuch nahi karegi.
Ham bohot fakhr se khud ko is desh ka shahri kahte hai lekin is desh ka shahri banne se zyada zaroori zimmedar shahri banna hai or zimmedar shahri banne ke liye hamein apne huqook, apni zimmedariyon ko samajhna bohot zaroori hai.
Zimmedar shahri banne ke liye hamein apne kuch faraayez janna behad zaroori hai, jaise ke:
- aayen ki pasdari or iske nazariyat or iradon ka ahteram karna, Qaumi Parcham or Qaumi Tarane ka ahteram karein.
- un azeem adarshon ki pairwi or unki pairwi karna jinho ne aazadi ke liye hamari Qaumi jaddo jahed ko mutassir kiya.
- desh ki khudmukhtari, ittehaad or salmiyat ko barqaraar rakhna or unka tahaffuz karna.
- jab desh mein dafaa or qaumi khidmaat ki paishkash ki jaye to usme hissa lena chahye.
- sab ke darmiyan ham-aahangi or mushtarka bhaichare ke jazbe ko farog dena chahe wo koi bhi mazhab ki pairwi karta ho ya kisi bhi ilaaqe ka ho. Khwateen ke waqar ke liye tauheen aamez salook ko tark karna.
- hamari jamya saqafat ke bharpoor wirse ki qadr or hifazat karna.
- janglaat, jheelon ke sath qudrati mahaul ki hifazat or inme behtari laana or Jungli hayaat or zinda makhlooq ke liye hamdardi rakhna.
- sciency mizaaj or Insaniyat ko badhawa dena. Hamesha kuch naya sikhne ki chah karna or islaah karte rehna.
- awami imlaak ki hifazat karna or tashaddud ko hargiz badhawa na dena.
- inferadi or ijtemai tamaam shobon mein tarakki ki taraf jaddo jahed karna or aisi sargarmiyon mein hissa lena jisse qaum aala darje par aaye or qamiyabi hasil kare.
- har walidein ya sarparast ko bacho ki taalim par khas tawajjah dena chahye.
Qaumi sarparasti ka matlab hai aayen ke bataye gaye raston par chalna or har wo kaam se khud ko rokna jisse kisi or ki tauheen ho. Apne buniyadi huqooq ko samajhna or unhe ache se nibhana or auron ke buniyadi huqooq ki hifazat karna.

Introduction
Mein Neha Ansari, Naturopath aur Acupuncturist hoon. 2010 se meine padhai ke sath likhna shuru kiya tha jo ab tak jaari hai. Meri nazmon mein aas paas ki jhalak nazar aati hai aur mein apni zindagi ke tajurbon ke baare mein likhna zyada pasand karti hoon.
Great line n truth feelingfully lines
LikeLike
Nice line 👍👌😇😇
LikeLike