Aurat, mahila, women aur jis bhi naam se hum unhe jante hain, Kya unka kaam sirf Bache paida krna, unki parvarish krna, ya gharelu kaamo ko dekhna hai ??? Kya unhe koi adhikar nhi apni soch, apni raay rakhne ka??? Unhe koi adhikar nhi apne huqooq mangne ka??? Dusro ki trf ishara nah krte hue main khud ko dekhu to hamare ghr me bhi auraton k sath kch had tk waesa hi suluk Kiya jata hai, Jo ek typical soch hai hamare samaj ki. Ladke kahin Jaye to unhe koi rok tok nhi, aur Ladkiyan kahin Jaye to unse 100 sawal. Kahan gai thi? Kis k sath thi? Itna time kiyu laga? Wagaira wagaira. Aakhir kb tk aesa chalta rhega?? Aj hum sb modern Life style pasand krte hain. Mehenge phone, mehenagi gaadiya, mahenge kapde wagaira. To in chizo k sath hum apni soch ko bhi thoda modern kiyu nhi banate??? Hum hr chiz me magribi mumalik se khud ko compare krte hain chahe wo fashion ho ya kch bhi ho lekin baat soch ki aati hai to hume apni purani dakyanusi soch hi payari hai. Aurat zaat jo hume janam deti hai, Hume paal pos k bada krti hai, hr mod pe kbhi maa bn k, kbhi bahen bn kr, biwi bn kr, ya kbhi dost bn kr hamare sath sath hoti hain, unki in Mohabbat or qurbaniyo k sile me hum thodi si azadi nhi de skte ???
Wo aurat khuda ne Jis k qadmo k niche jannat rakhdi hum un k sath itna zulm o Jabar krte hain. Itni Mohabbat k sile me hum inhe Kya dete Hain kbhi socha hai??? Hum duao me to inhe yaad nhi rkhte magar hamari hr gaaliyan shuru in k naam se hoti hai aur khatam bhi inhi pr hoti hai. Aakhir kiyu ???????
Humne auraton ko hmesha se apne mufad k liye istemal Kiya hai. Chahe wo siyasi mudde nazar se dekhen ya samaji.
Hum bachpan se sunte aur dekhte aarhe hain hai k ghr me beta paida hoto hr trf khushi ka mahol hota hai, Diwali sa sama bn jata hai, hr trf mithai banti jati hai magar is k bara’aks hum dekhe agr beti paida hoti hai to pehle to unhe zinda dafna Diya jata tha mgr ab pehle hi sonography wagaira kr k pta lga liya jata hai aur beti ho to use pet me hi khatam kr Diya jata hai. Betiya Jo Allah hi rehmat hoti hain hum un se is qadar nafrat krte Hain. Allah ko betiyon se itni Mohabbat thi k unhone apne payare rasool Hazard Mohammed S.A.W ko char betiyan a’ata ki.
Hum mard zaat ghr k khairkhawah hote hain hakim nhi. Hume ghr me apni maa behno aur betiyon ko wohi izzat aur rutba Dena hoga Jo hum apne beto ko dete Hain, betiyan to Apne hi ghr me Chand roz ki mehman hoti hai aur hum un Chand roz bhi use azaadi k sath jeene nhi dete. Phr ye kaese tawakku kr le k us k sasural wale use uski soch, us k huqooq k sath rkhenge.
Aj hamare naujawan tabqo me ladkiyon se dosti aam si hogai hai. Aur khule alfaaz me kahu to relationships aj k zamane me bht aam si baat hai magar is aam ki baat pe gaur kre to ye baat jitni aam hum smjhte Hain unti hai nhi. Ek ladka Ladki jb relationship me aate Hain to dono ko ek dusre pe a’aetamad hota hai, ek umeed hoti hai Jo respect aur kisi se nhi mili wo unhe yahan milegi. Aj relationship ek fashion sa ho gya hai. college, school k Bache jinhe relationship ka mtlb nhi pta, wo nhi jante Kis trah se respect krna hai, kis trah aapas me mutual understanding rkhna hai kis trah apne better half ki baat Sunni hai kis trah unse baat krni hai. Jb hum relationship me jate hain iska mtlb ye nhi hota k hum un k Hakim Hain ya ab wo hamari ya hamara naukar hai hamari hr baat sunegi ya sunega. Jo respect/izzat hum chahte Hain, wohi respect/izzat Hume bhi Deni hogi.
Jis trah ek kashti jb samundar me hichkole khate hue chalti hai, Hume hr trah se balance bana pdta hai k agr balance out hua to Kya hoga aap sb jante hi hain. Ek Choti si kashti ko chalane k liye jb itna balance bana pdta hai to sochiye kisi k sath Zindagi guzrane k liye izzat aur understanding ka hona kitna zruri hai. Yahan Zindagi guzrane se Murad hasi khelte hue Zindagi guzrana wrna Zindagi to kaese bhi guzar hi jaati hai. Jb hum sath me hote Hain to kch baaten hoti Hain Jo samne wale ko gawara nah guzre to Hume aesi baato se parhez krna chahiye. Hume jitna ho sake apas me mil jul k saare faisle ek sath mashwara kr krne chahiye ta k samne wale ko ehsase kamtari ka khadsha nah ho.
Aurat zaat gulshan khile us gul ki trah hai jis k khilne se pura gulshan khil uthta hai aur agr yehi Gul nah khile to gulshan jungle sa lgne lgta hai. To Hume chahiye hamare ghr, hamre atraf, hamare dosto me agr aurat ho to unhe izzat de un se husuno suluk se pesh aayen. Izzat ek aesi chiz hai Jo dene se ghatti nhi balk jitni doge usse zyada badh k milegi aur Hume ye Azam krna hai khud se k jis trah apni maa k liye hamare Dil me izzat hai hum hr aurat ko wohi izzat denge.

Introduction
Mera naam Aquib Sayyed hain- mai ek civil engineer hu aur Master degree kar raha hoon. Urdu bhaasha bachpan se mere liye kuch khaas thi – 2012 se maine urdu (Sulekh) likhna shuru kiya. Main excited ho gaya aur maine likhna shuru kar diya- Is kavita ke madhyam se logon ko ye sandesh dena hai ki wo acche ke liye milkar kaam kar sakte hai-
choti si zindagi hai shikayat kya kisi se
chand roz bache hai haste muskurate mil lo sabhi se.
Aquib Sayyed