Bint- E- Hauwa ki kahani

Bachpan se Suni humne bint e hauwa ki kahani,
Kabhi Dadi, kabhi Nani, kabhi Amma ki zubani,

Rani Laxmi bai se savitribai phule aur Fatima bi ki kahani,
Jinhone di apno k liye har tarah ki qurbani,

Aurat zaat ko hmesha se kamzor hi hai jaana,
Yehi galti Jane anjane me humne hai kar Dali,

Kbhi Maa, kbhi bahen, kbhi dost ban kr sambhala,
Biwi ban saari Zindagi hamare naam kra Dali,

Saari pabandiya unhi pe thopi, zimmedar bhi unhe thehraya,
Asmat dari pe unki, qusurwar un ke libas ko thehraya,

Beti ki izzat se to bete khel rhe hain,
Aur hum bete ko chod beti ko kos rhe Hain,

Beti bachao chod kar, beta pdhao ka nara jo lagate,
Galti par bete ki usko ehsaas jo dilaate,

Har gali wo mohalle me mehfooz rehti betiyan,
Ham apni tang soch ke daire jo badhate.

Introduction

Mera naam Aquib Sayyed hain- mai ek civil engineer hu aur Master degree kar raha hoon. Urdu bhaasha bachpan se mere liye kuch khaas thi – 2012 se maine urdu (Sulekh) likhna shuru kiya. Main excited ho gaya aur maine likhna shuru kar diya- Is kavita ke madhyam se logon ko ye sandesh dena hai ki wo acche ke liye milkar kaam kar sakte hai-

choti si zindagi hai shikayat kya kisi se

chand roz bache hai haste muskurate mil lo sabhi se.

Aquib Sayyed

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s