Zami par Rehmat ki alamat hoti hai Aurat…
Badi nek azmat hoti hai Aurat…
Koi na hoga, na hota jahaan mein abhi tak,
Zindagi ki zaroorat hoti hai Aurat…
Jo paaye use, chhod de maal o daulat,
Us shohar ki shohrat hoti hai Aurat…
Jis ghar mein barasti ho Khushiyo ki mehfil,
Us ghar ki barkat hoti hai Aurat…
Jo karte nahi apni Maa se bagawat,
Un aulado ki jannat hoti hai Aurat…
Jin mein ladne ki nahi hoti hai taaqat,
Un budhe Waaldein ki himmat hoti hai Aurat…
Har kisi ko nahi milti Khuda ki yeh neymat,
Naseeb Walo ki qismat hoti hai Aurat…
Us ne jana nahi hai abhi tak haqikat,
Jo kahe buri aadat hoti hai Aurat…
Jo Karne par aaye toh,maidaan Fateh kar jaye
Aise himmat wali hoti hai aurat
Khuda ki alamat hoti hai Aurat…
Badi nek azmat hoti hai Aurat…

Alban Dalvi
Introduction
I’m a poet and a writer too. I’m graduating in second year from A. E Kalsekar Degree College in stream Arts. I don’t write as a hobby but as a passion. I want to make my career in short stories, novels and poems.