POEM BY ALBAN DALVI
Agaaz e hukmrani mein baatein toh bohat hui thi,
Magar kuch hua toh nahi…
Asmaan mein jo garaj rahe hai woh badal hi hai na,
Kahin dhua toh nahi…
Insaaf ke liye jaan ki baazi lagani hongi? Laga denge,
Khaandani riwaj hai koi aaj ka mudda toh nahi…
Itni bedardi se tu ne masumo par qayamat todi hai,
Kahin tera dil sach mein murda toh nahi…
Yeh zameen, Bhagat Singh,Bismil, Ashfaaq ki hai,
Gore chale the hume mitane par wonn se, kuch hoa toh nhi.
Tu humse apna picha kyu chudana chahta hai,
Kahin tu humse darta toh nahi…
Kya hua agar tu is zamane ka firoun hai toh,
Tu khuda toh nahi…