Rap Audio is available at this link
https://drive.google.com/file/d/1uDbIS2b3w6BqCvp2M-PEJEu6PyJZgPxF/view?usp=sharing
Aeh.. Constitution.. Samvidhan..
Kaafi din se man mein mujhko sawaal ek kha raha hai
Kya hua yeh desh ko yeh kis disha mein ja raha hai
Haq ki iss ladaai mein garibi maar kha raha hai
Kya sach mein andha kanoon ya fir dekhna nahi chahta hai
Chahta hu boldu mein raaz inke khol du,
Mein unme se nahi jo aage haath inke jodh du
Jab freedom of speech, toh kaise inko chodh du
Hamare samvidhan se kya khush Hindustan hai
Jo horaha hai desh mein haan kaun zimmedaar hai
Equality ki baat toh yeh kaisa atyachaar hai
Ameer aur ameer bas gareeb hi lachaar hai
Jo Sach ka hota katl iska kiske paas jawaab hai
Kyu begunah hai jail mein aur mujrim faraar hai
Umeed rakhe kisse jab wardi mein gawaar hai
Darinde hai yeh saale, pehne insaani naqab hai
Tuta yeh sansaar hai, hum corrupt bhrashtyachaar hai
Aur acche din kaha hai jo tum karrahe prachaar
Ki yeh aish kare lekin mera inse yeh sawaal hai
Gareeb ka baccha sadak pe sota kya pucha kabhi kya haal hai
Kya insab se anjaan hai, yeh kaisa mayakaal hai
Kitno ke sar par chat nahi, kitno ka bura haal hai
Khaane ko do waqt khana nahi, puche inko zamana nahi
Befikr sote tum unki neend ka thikaana nahi
Corruption hi corruption lekin sacchai dikhaana nahi
Jo kiye gaye waade use ab take nibhaaya nahi
Ab waqt aa gaya hai apni aawaz ko dabana nahi
Hum sab se hai yeh log, haan insab se yeh zamana nahi
Ab mudde waali baat karo gandagi ko saaf karo
Election par dikhaayi dete uske baad maaf karo
Bhai hame, yeh sab bhul jaate saale inhe laaye hamne!
Ab tak tumne kya ukhaada inhe laayi humne (2)
Satta ki chahat mein yeh ladaai sirf jaat paat pe
Yuvao ko rehna satark aana nahi baat vaat pe
Hum ek hai yeh dekh key eh garv hai mujhe desh pe
Vidarbha pe kyu ladna jab yeh sarvashest hai
Iss desh ki zimmedaari hum yuvao ke haath pe (5)
Shurwaat se mai boloo
aisi Asliyat ye kholoo
Mooh fatt meri baatei
tere jaisa naa koi khel hoo
Cheese burst wala pizza
Naa teri sukhi bhel hoo.
Kyaa chahti ye janjir teri
Sunn baatei ye gambhir meri
Kabtak chupaoge aur tum dabaoge
Ye masjid bhi meri aur mandir bhi hai meri..
Sanvidhaan ki woh baatei
Pehle panno k jasbaatei
Insaaf se q dooor hai
Fir tere sapne choor hai..
Ye khaali rap nhi ek sache dil ki baat hai
Tu bhi insaan mai bhi insaan to
Har jagaah hee q jaat hai
Halki naa ye baat hai
Dil ki sunegaa to..beta
Bandhutaa hee insaan ki asli ek jaat hai..
Salaam parcham jhande ko
Inke chotey bade kandhe ko
Side mei rakhte dhande ko
uthaate ache bande ko..
Q neta neta uskaa betaa
Farzi data nakli gyaan ye sabko deta
Upper se kamm andarr se letaa…
Paise aur insaan khali lete sabki jaan hai
Insaaniyat chord diya fir deta q ye daan hai
gandi naali ghaan hai
Asliyat mei inko..koi naa sammaan hai..
Sab jaago beta sanvidhaan hee desh ki jaan hai..
Paise hee to leke ayega nanga ye tufaan re..haa
Betaa jaanle ..
Najaaane fir hoga ye desh ka hee naash re..
Ye naach re ..aur tum inke aagey piche bhaagre..q letaa aisaa daag re..upper se hai ye aadmi andar se hai ye ghaaghre..waqt hai beta jaagre..nakli haa ko sunte hee yeto malaa raag re..
Ye dekh beta desh ka hai future
Kaam zada aur baatei beta kam kar
Ye raaj aisa chalta paisa
Khaali jeb aisa kaisa..
Naam ke bhikhaari dekho
Jeb mei hai 2 ka paisaa.
Dhokha jaisa detaa khali
Shabd mei hai meetha jaisa…
Tikhaa mera bol tera dhol khol
Dooga mai..
Aadhe paaune poorey tere jhol
Bol dooga mai..
Budhi teri radhi khali
Note teri dekh jaali
Ek thaali…chedh hai bhaari
Peet piche aisaa maari
Chaai khaari jhooti yaari..
Paisa khali chalta jaisa
Uske godh teri naari..
Jaat jaat khelke ye upper aajaare
Secular desh ki fullto bajaare
Tum q nee bhagaare
Gandhi ji ke desh mei ye konsa bazaar hai..

My name is Fazil and I am a rapper, I’m doing Hip Hop since 2015 and I am a fitness freak also.
My name is samar rawal, i am doing job in medical billing dept, my hobby is to know about other people’s life experience like there struggles and professionally i am a rapper.

It’s is true …
LikeLike