GUFTUGU
گفتگو
Chaliye aaj magrib se aftaab ko tulu karte hai,
Jo baat adhuri reh gayi thk use phir se shuru karte hai,
Nazar jhuka kar toh buzdil qalaam karte hai…
Hum toh dushman se nazare mila kar guftagu karte hai,
suna hai ke Woh bijli ke khadak ne se seham uthte hai…
Aur humein qatl karne ki arzoo karte hai,
Nafrat ki gand faili hai har jagah…
Aur kehte hai ki woh mohabbat ki khushboo karte hai,
Woh samjhte hai ibadat unki ja’iz hai…
Jab ke masoomo ke khoon se woh wuzu karte hai,
Jis dange ko mitate mitate saara mulk bat gaya…
Aaj zara si baat par usse phir se shuru karte hai,
Mein kehta hoon kuch nahi haasil honga is sab se…
Fizul mein sab zaya apna lahu karte hai…
چلئے آج مغرب سے آفتاب کو طلوع کرتے ہیں
جو بات ادھوری رہ گئی اسے پھر سے شروع کرتے ہیں
نظر جھکا کر تو بزدل قلام کرتے ہیں
ہم تو دشمن سے نظریں ملا کر گفتگو کرتے ہیں
سنا ہے کے وہ بجلی کے کھڑکنے سے سہم اٹھتے ہے
اورہمیں قتل کرنے کی آرزو کرتے ہیں
نفرت کی گند پھیلی ہے ہر جگہ
اور کہتے ہے کی وہ محبّت کی خوشبو کرتے ہے
وہ سمجھتے ہے عبادت انکی جائز ہے
جب کے معصوموں کے خون سے وہ وضو کرتے ہیں
جس دنگے کو مٹاتے مٹاتے سارا ملک بٹ گیا
آج ذرا سی بات پر اسے پھر سے شروع کرتے ہیں
میں کہتا ہوں کچھ نہیں حاصل ہوگا ان سب سے
فضول میں سب ضائع اپنا لہو کرتے ہیں
چلو آج یہ عہد کرتے ہیں۔
امن کے محافظ ہے ہم،خود سے پھل کرتے ہے

Alban Dalvi
Introduction
I’m a poet and a writer too. I’m graduating in second year from A. E Kalsekar Degree College in stream Arts. I don’t write as a hobby but as a passion. I want to make my career in short stories, novels and poems.